Wednesday, January 9, 2013

Hamare bharat ka sainya bal

Hamare bharat ka sainya bal
Bharatiyon ki raksha karta har pal
Chahe ho kasmir ki sardi
Ya fir bikaner ki garmi
Jhukne na dete bharat ka sar
Hamare bharat ka sainya bal

Har roz sainik khatron se ladte
Kabhi nahin shatru se darte
Jal, thal, vayu pe raj hain karte
Fir bhi sada vinamra hain rehte
Seema pe chokanna har pal
Hanare bharat ka sainya bal

Sainik hain bharat ki aan
Hamare liye de dete jaan
Jab jab gana jeet ka gaan
Rakhna yaad sainik ka balidan
Jisne apna khoon bahaya
Jeet ka jashan dekh na paya
Prarthana main sada rakhna yaad
Meri sabse yehi fariyad

Jhukne na dete bharat ka sar
Hamare bharat ka sainya bal...!!!

No comments:

Post a Comment