Wednesday, January 16, 2013

Zehen ka dard

Hai khushiyon ka aalam
Aur ye dil udaas hai
Saj rahi hain mehfilain
Tanhaai ki mujhe aas hai
Prachhai to kahin peeche chod aya
Zehen ka dard sath hai

Na khushi se kabhi dosti hui
Na dukh se meri dushmani rahi
Ye daastan koi samajh na paya
Kuchh Aisi Meri jeevani hui
Chehre ki khushi pe sab hanse
Aankhon ki kahani padh na sake
Apni hansi to kahi peeche chod aya
Zehen ka dard sath hai

Na kisi khushi ki ab aas hai
Na kisi k sath ki mujhe chah hai
Baant kar apne hisse ki khushi
Le kar uske hisse ka gham
Chal pada hun tanhaai ko le kar sang
Dostiyan to kahin peechhe chod aya
Zehen ka dard sath hai

Akela chala tha akela hi chalunga
Tere sath guzara waqt bhula na sakunga
Chal pada hun main
Dhundhali kahin meri manzil hai
Pahunchunga kabhi raah bhale hi kathin hai
Yadain to peechhe chod aya
Zehen ka dard sath hai

No comments:

Post a Comment